Sunday 28 April 2013

Watan ki Mitti - The Sands of Pakistan





Watan ki mitti Gawah Rehna,
Watan ki mitti Gawah Rehna,
Watan ki Mitti Rangeen Hai Tu,
Lahu aur hum bahaa rahay hain,
Gawah Rehna, Gawah Rehna.

Insaniyat ka wujood jaisay,
Khushi Khushi hum mita rahay hain,
Aag o Khoon ki roshi ne,
Is Sheher ko ab jagmaga rahay hain,
Watan ki mitti Gawah Rehna.

Hain nafratain har wujood main,
Hain Sazishain ab urooj pay,
In Nafratoan ki aag se,
Zarra Zarra ab jala rahay hain,
Watan ki Mitti Gawah Rehna.

Hai Muhammadi Wujood Main,
Per Ibleesiat Sujood main,
Apne hi Uloom se, Apne hi futoor se,
Nar-e-Takbeer se, Kufr hum pehla rahay hain,
Gawah Rehna, Gawah Rehna.

Yun bech ker apni Khudi,Khud hi ko ab luta bethay,
Saya-e-Khuda se ab, Khud-hi ko hum chura bethay,
Taqat Nahi mujoan main ab, Toofan kya jawab de,
Jannat ki Aarzoo main hum, Jannat luta rahay hain,
Watan ki Mitti Gawaah rehna.








- Saad









No comments:

Post a Comment